Bachpan ka dibba
Khol kar dekha
Toh mile hain sapne
Kuch aise anjaan
Wo bacha jisko
Tod kar pheka
Kisi kone mei chipa
Bolta hai
Koshish toh karte
Jeene ki...
Koshish toh karte jeene ki
Un sapno ko bhee peene
Ki
Jis shiddat se...
Jis shiddat se
Jaam uthaate ho
Iss bache
Ko yun daraate ho
Logon ki chid chid baarish mei
Mujhko aise bhigaate ho
Daraate ho
Chidaate ho
Naakaamiyon se
Sataate ho
Girte ho
Giraate ho
Mujhe hee jhootha bataate ho
Awaaz hun tere andar ki...
Awaaz hun tere andar ki
Fir bhee itna rulaate ho
Kaagaz par rang pheko zara
Has kar toh kabhi dekho zara
Nathkhat sa rass hai gudgudi mei
Gudgudana bhee ab seekho zara
Naam nahi iss duniya mei...
Naam nahi iss duniya mei
Kaam nahi iss duniya mei
Na naam hai
Na kaam hai
Nakaam nahi iss duniya mei
Khud ka tum ehsaas karo....
Khud ka tum ehsaas karo
Hone par vishwaas karo
Kal par hukum chalaate ho
Ya beet chuka
Ya aana hai
Har kal ne bhee chukaana hai
Hisaab jo rakhna bhool gaya...
Hisaab jo rakhna bhool gaya
Uss bache par zulm uthaate ho
Kyu itna rulaate ho
Wo bacha jisko
Tod kar pheka
Kisi kone mei chipa
Bolta hai
Koshish toh karte
Jeene ki
Aaj meri chitaah jalaate ho