Thursday, October 6, 2011

Wehem

Ek meethi si baat
Kuch khwaabon ka saath
Badte kadam
Dagmagaate haath

Yeh dil jaanta hai
Jo sapna usne dekha
Khabon ke panno pe
Jo rang usne pheka

Woh darr hai kahin
Ki bass giru nahi
Is dil mein taakat
Itni bhee nahi

Jo chehra kehta hai
Woh dil nahi maanta
Asliyat kya hai
Khud bhee nahi jaanta

Bharosa nahi
Lekin jaane kyu
Sapne dekhta
Yeh chota sa dil

Nidarr hoke
Najaane kyu
Bharosa hai
Najaane kispe

Phir bhee woh
sehem sa gaya hai
Girne ka
wehem aa gaya hai

Bhool sa gaya
Ki paun kahaan hai
Chaadar nahi
Paun jahaan hai

Barkaraar hai tab bhee
Soch uski
Sapno ko paalna aataa hai
Shayad darr ko hee nahi
abhee jaanta hai

kya jaane wo dil
Jo sapne paalta hai
Wo darr
jis se har koi bhaagta hai
Lekin aaj woh dil sehem sa gaya hai
Jab darr ka usse wehem aa gaya hai.

No comments:

Post a Comment